Khamoshi bhi shikayat ki tarhan hai
Ik ik lamha qayamat ki tarhan hai
Lahoo mein jaise dar aaya ho suraj
Yeh kia mujh mein raqabat ki tarhan hai
Haqeeqat janna chaho tu jaano
Yeh chup bhi aik wazahat ki tarhan hai
Kisi se kis tarhan kar dein biaan ham
Wisaal oss ka amanat ki tarhan hai
Sabhi rishte badalte ja rahe hain
Muhabbat! kia muhabbat ki tarhan hai
Taaluq kon si manzil tak aaya
K abb milna adawat ki tarhan hai
Hijaab oothney ki saaat aan pohnchi
So abb jalwat bhi khalwat ki tarhan hai
0 comments:
Post a Comment